Saturday, February 10, 2018

Valentine's day Napaak muhabbato'n ka din part 02

⚀⚀⚀ 

  ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
       вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
    ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                                            
       ⚀ VALENTINE'S DAY
           YA NAPAK, NAJIS,
       NA-JAYEZ  AUR GHALEEZ
          MUHABBATON KA DIN   ⚀
     ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

               ⚀PART-02⚀

⚀→ Har koi chahta hai ek gf/bf zarur hona chahiye jiske sath jab ho sake munh kala karte rahe aur jab marzi aye tab dusra bana le aur bs har waqt yahi batein hoti rehti hain, aaj yahan tehlaya aur aaj wahan tehlaya, aaj yahan date par gaye aur aaj wahan date par gaye, aaj is restaurant mein munh kala kiya aur aaj us restaurant mein munh kala kiya. Bs isi ghalazat mein apni zindigiyan barbad kar rahe hain, aur fakhr se majliso aur mehfilo mein apni gandigi aur ghalazat ke qisse sunate hain, lekin inhe kya pata inhi najayez muhabbato ki wajah se kitni jaane chali gayi, kinti zindigiyan barbad ho gayi, aur na jane kitne ghar tabah ho gaye sirf isi napak muhabbat ki wajah se.
Koi ladka ye kyun nahi sochta ki agar uski shakal kisi ladki ko pasand aa sakti hai to phir uski bahen ko bhi koi shakal pasand aa sakti hai, kyun apni pak daman bahen ke gunaho ki wajah ban raha hai tu, tu dusre ki izzat se khelne mein apna waqt barbad karta hai aur koi tere ghar ki izzat ko tabah kar ke chala jata hai.

⚀→ Agar tu dusre ki bahen ka muhafiz hota to aaj teri bhi bahen ka koi muhafiz hota, tu agar kisi ki bahen ko ghalat nigaho se na dekhta to teri bhi bahen ko koi ghalat nigaho se na dekhta, tu kisi ki bahen ko ghalat karne rokta to koi teri bhi bahen ko koi ghalat karne mana karta. Lekin tujhe to apna waqt barbad karna hai, zehen barbad karna hai, apni jawani barbad karni hai, apni ankhe kharab karni hai aur ALLAH ke azzab ko dawat deni hai.

Next -03©ontinue in sha Allah

      ┏━────• Raahe haqq
      ┣━───• ℡ 91-7037363325
      ┗━•

⚀⚀⚀
*Pur fitan dor me Valentine Day ki Nahusat by mufti Tariq Masood Sahab db*

https://youtu.be/rCSZFc9lQag

*Channel ko subscribe zaroor kar Lijyega*

No comments:

Post a Comment