Sunday, February 11, 2018

Valentine's day Napaak muhabbato'n ka din part number 03

⚀⚀⚀ 

  ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
       вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
    ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                                            
       ⚀ VALENTINE'S DAY
           YA NAPAK, NAJIS,
       NA-JAYEZ  AUR GHALEEZ
          MUHABBATON KA DIN   ⚀
     ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

               ⚀PART-03⚀

⚀→ Aaj baht sare qisse sunne mein ate hain ki ek dost he dusre dost ki bahen ke sath ghoom raha hai aur apna munh kala kar raha hai. Tu apne dost ko dhokha de raha hai lekin tujhe ALLAH dekh raha hai. Apne chhote bhai aur bahen ko is napak muhabbat ko agey badhane mein istemal karta hai aur kal wahi bhai aur bahen bade hokar tere he nakhshe qadam par chal kar wahi ghaleez kam karte hain jo tu kar chuka hai. Agar yahi karna hai to phir jab tu kisi ko apni bahen ke sath dekhta hai to phir ladta kyun hai? Agar tu kisi ki bahen ko ghumata hai to koi teri bhi bahen ko ghuma sakta hai, to phir ladayi jhagda kyun karta hai? Kisi dusre ki bahen beti ko ghumate huey tujhe ghairat nahi ati to apni bahen beti ko dekh kar wo ghairat kyun jagti hai? Ye kaun si dohri soch hai, apni bahen ko 7 parde mein rakho aur dusre ki bahen ki izzat ko sare bazaar nilam karo. Bahut sare ladko ke pas aaj ye excuse hota hai ki sahab wo to ladkiyan beparda ghoomti isme hum kya kare nazar to padegi he, wo kyun beparda ghoomti hain. Main kehta hun agar sari musalman ladkiya parda bhi kar le to kya ghair muslim ladkiyan bhi parda karne lagengi? Ya unko zabardasti parde ka hukm doge, ki meri ankho ki hifazat nahi ho pa rahi hai lihaza tum log parda kiya karo? ye to un ankho ka qusoor hai, us gande zehen aur dil ka qusoor hai ki wo behayai dekhna chahti hain aur beparda jismo ki numaish ka lutf uthane ko betab rehti hain. To phir dosh ladkiyo ke zimme kyun dete ho, jabki Quran mein Musalman mardo se kaha gaya hai ki apni nazro ko niche rakho aur Nabi SAWW ne farmaya ki apni sharmgah ki hifazat karo.

⚀→ Musalmano Kyun duniya ki ghalazat mein pade ho, mere rafeeqo, dekho aaj ummat ka kya haal hai, duniya ki tamam qaume humein safe hasti se mitane par ek jut ho chuki hain jiske gawah Palestine se lekar Afghanistan ban chuke hain, lekin hum aaj bhi in gnade aur ghaleez ishq mein pade hain, apni ankho ko ganda karte hain, apni soch ko ganda karte hain, apne dil ko ganda karte hain, apne jism apni taqat ko khokhla karte hain. Behayai aur behooda harkato aur baton mein apna qeemti waqt zaya karte hain.

Next -04©ontinue in sha Allah

      ┏━────• Raahe haqq
      ┣━───• ℡ 91-7037363325
      ┗━•

⚀⚀⚀
*Pur fitan dor me Valentine Day ki Nahusat by mufti Tariq Masood Sahab db*

https://youtu.be/rCSZFc9lQag

*Channel ko subscribe zaroor kar Lijyega*

No comments:

Post a Comment